|
[ More Udit Narayan lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Udit Narayan
Lyrics for Song: Meri Saanson Mein Basa Hai
Lyrics for Album: Aur Pyaar Ho Gaya
26708>Director: Nusrat Fateh Ali Khan Lyricist: Javed Akhtar Singers: Udit Narayan
[Meri saanson mein basa hai tera hi ek naam Teri yaad humsafar subah o shaam.. (2) ]--- (2) Tu mere din mein raaton mein Khamoshi mein baaton mein Baadal ke haathon mein bhejoon tujhko ye payaam Teri yaad humsafar subah o shaam.... (2)
Meri saanson mein basa hai tera hi ek naam Teri yaad humsafar subah o shaam.... (2)
[Aankhon mein tasveer hai jaise tu meri taqdeer hai jaise Us dil se is dil tak aati dhadkan ki zanjeer hai jaise]-- (2) Khwaabon khwaabon tu mile na jaane kya hain silsile Palkhon par ye pyaar ke na jaane kitne gul khile Tere khwaab sajaate rehna ab hai mera kaam Teri yaad humsafar subah o shaam... (2)
Meri saanson mein basa hai tera hi ek naam Teri yaad humsafar subah o shaam... (2)
Ho ho...
[Phoolon par shabnam ki nami hai rangon ki mehfil si jami hain Mausam bhi manzar bhi main bhi kehte hain bas teri kami hai]---- (2) Baagon mein hum jo milein to gaayein saari koyalein Mehke saara ye samaa havayein mehki si chalein Teri khushboo se bhar jaayein kaliyon ke ye jaam Teri yaad humsafar subah o shaam... (2)
Meri saanson mein basa hai tera hi ek naam Teri yaad humsafar subah o shaam.... (2) Tu mere din mein raaton mein Khamoshi mein baaton mein Baadal ke haathon mein bhejoon tujhko ye payaam
26708> |
|
Album Lyrics: Aur Pyaar Ho Gaya |
Udit Narayan
"Aur Pyaar Ho Gaya"
|
| | | |
|