Tune O Rangeele

Lata Mangeshkar · Romance - Lata Mangeshkar 'bahon Mein Chale Aao' [2010]

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya - 2

Piya piya bole matwaala jiya

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole matwaala jiya

Baahon mein chhupaake yeh kya kiya, o re piya oh oh

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole matwaala jiya

(Paas bulaake gale se lagaake

Tune to badal daali duniya

Naye hain nazaare, naye hain ishaare

Rahi na voh kal waali duniya) - 2

Sapne dikhaake yeh kya kiya, o re piya oh oh

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole matwaala jiya

(O mere saajan, kaisi yeh dhadkan

Shor machaane lagi mann mein

Jaise laheraaye nadiya ka paani

Laher uthe re mere tan mein) - 2

Mujh mein samaake yeh kya kiya, o re piya oh oh

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole matwaala jiya

Baahon mein chhupaake yeh kya kiya, o re piya oh oh

Tune o rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole matwaala jiya