Aayega Aayega Aayega

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

Aayega aayega aayega

Aayega aane waala, aayega aayega aayega

Deepak bagair kaise parwaane jal rahe hain - 2

Koi nahin chalaata, aur teer chal rahe hain - 2

Tadpega koi kab tak beaas besahaare - 2

Lekin yeh keh rahe hain dil ke mere ishaare

Aayega aayega aayega

Aayega aane waala, aayega aayega aayega

Bhatki hui jawaani manzil ko dhoondti hai - 2

Maajhi bagair nayya saahil ko dhoondti hai - 2

Kya jaane dil ki kashti kab tak lage kinaare - 2

Lekin yeh keh rahe hain dil ke mere ishaare

Aayega aayega aayega

Aayega aane waala, aayega aayega aayega aayega