Ai Dil Dukhada Kise Sunaayein

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

ai dil dukhada kise sunaayein

dukhada kise sunaayein

ai dil dukhada kise sunaayein



jis daali par baithe tuuti

saajan ruutha duniya ruuthi

ab ham roye ya muskaayein

dukhada kise sunaayein



thandi aahein aag laga de

aansu aag pe tel gira de

ham jal jaayein ham mar jaayein

dukhada kise sunaayein



kya ek baar taras khaaoge

kya ek baar chale aaoge

aao dil ke zakhm dikhaayein

dukhada kise sunaayein