Bane Ho Ek Kaak Se

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

bane ho ek kaak se, to duur kya qareeb kya -(3)

lahu ka rang ek hai, amir kya garib kya

bane ho ek ...



vo hi jaan vo hi tan, kahaan talaq chhupaaoge -(2)

pehan ke reshami libaaz, tum badal na jaaoge

ke ek jaat hain sabhi -(2)

to baat hai ajeeb si

lahu ka rang ek hai ...



gareeb hai vo iss liye, tum amir ho gaye -(2)

ke ek baadshaah hua, to sau fakeer ho gaye

khata yaha hai samaaj ki -(2)

bhala bura naseeb kya

lahu ka rang ek hai ...



jo ek ho to kyon na phir, dilon ka dard baant lo -(2)

lahu ki pyaas baant lo, ruko ki dard baant lo

laga lo saba ko tum gale (2)

habeeb kya, raqeeb kya

lahu ka rang ek hai ...