Bedardi Baalma Tujhko Mera Mann

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

bedardi baalama tujhko mera mann yaad karta hai

barasta hai jo aankhon se vo saavan yaad karata hai



kabhi ham saath guzare jin sajeeli rehguzaaron se

fiza ke bhes mein girte hain ab patte chanaaron se

ye raahen yaad karti hain ye gulshan yaad karta hai



koi jhonka hava ka jab mera aanchal udaata hai

gumaan hota hai jaise tu mera daaman hilaata hai

kabhi chooma tha jo toone vo daaman yaad karta hai



vo hi hain jheel ke mandar vo hi kirnon ki barsaatein

jahaan ham tum kiya karte the paharon pyaar ki baatein

tujhe is jheel ka kaamosh darpan yaad karata hai