Chaand Phir Nikla

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

(Chaand phir nikla magar tum na aaye

Jala phir mera dil karoon kya main haay) -2

Chaand phir nikla



(Yeh raat kehti hai woh din gaye tere

Yeh jaanta hai dil ke tum nahin mere) -2

Khadi hoon main phir bhi nigahein bichaye

Main kya karoon haay ke tum yaad aaye

Chaand phir nikla magar tum na aaye

Jala phir mera dil karoon kya main haay

Chaand phir nikla



(Sulagte seene se dhuaan sa uthtaa hain

Lo ab chale aao ke dam ghuthta hain) 2

Jala gayi tan ko baharon ke saaye

Main kya karoon haay ke tum yaad aaye

Chaand phir nikla magar tum na aaye

Jala phir mera dil karoon kya main haay

Chaand phir nikla