Chalata Rahe Ye Kaaravaan Umr-E-Rawaan Ka Kaarawaan

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

chalata rahe ye kaaravaan

(umr-e-ravaan ka kaaravaan)- 2

chalata rahe ye kaaravaan

umr-e-ravaan ka kaaravaan



(shaam chale, pehar chale

manzil se bekhabar chale )- 2

bas yuun hi umr bhar chale

ruk na sake yahaan vahaan

chalata rahe ye kaaravaan

umr-e-ravaan ka kaaravaan



(phuule phale meri kali

gam na mile tujhe kabhi)- 2

guzare khushi mein zindagi

aae na mausam-e-khizaan (?)

chalata rahe ye kaaravaan

umr-e-ravaan ka kaaravaan



(duniya ka tu habib ho

manzil teri qarib ho)- 2

insaan (?) tera nasib ho

tujh pe khuda ki ho amaan

chalata rahe ye kaaravaan

umr-e-ravaan ka kaaravaan