Chali Aaj Gori Piya Ki Nagariya

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

chali aaj gori piya ki nagariya - 2

mangiya mein sinduur odhe chunariya - 2

chali aaj gori piya ki nagariya...



dulaaron se paali ye komal kali si - 2

chhipi maan ke aanchal mein jaisi dari si

wo hi aaj jaaye paraayi nagariya.....



ankhiyon mein aansuu hain saanson mein aandhi - 2

sajan se milan ko sajaniya hai jaati

nainon se tham tham ke barase badariya... - 2



chali aaj gori piya ki nagariya