Dhuan Banake Fiza Mein

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko (2)

main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko



khada hoon aaj bhi roti ke chaar harq liye (3)

sawal yeh hai kitaabon ne kya diya mujhko

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko



safed sang ki chaadar lapet kar mujh par (2)

fasil-e-shaher mein kisne saja diya mujhko

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko



main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha (3)

hawa ne thaam se zameen par gira diya mujhko

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko

dhuan banake fiza mein uda diya mujhko