Gam Ki Vaadi

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

gam ki vaadi mein kushi ka karavaan khone laga



ishq mein jo kuch na hona thaa, vahi hone laga

gam ki vaadi mein kushi ka karavaan khone laga



kaun samajhega muhabbat ki bhala majabooriyaan

do dilon ki chaahaten duniya ki naa-manzooriyaan

muskuraane hi se pahale pyaar kyon rone laga

ishq mein jo kuch na hona thaa, vahi hone laga



saamane aankhon ke mere ishq ka anjaam hai

hai agar ye zindagi to maut kis ka naam hai

ranj-o-gam jaage, naseeba pyaar ka sone laga

ishq mein jo kuch na hona thaa, vahi hone laga