Jaise Radha Ne Mala

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

jaise raadha ne maala japi shyaam ki - 2

main ne odhi chunariya tere naam ki

tere naam ki ho piyaa, tere hi naam ki

raadha ne ...



preet kya judi

preet kya judi, dor kya bandhi

bina jatan bina yatan ho gayi main nayi

bina mol ki main biki, bina daam ki

raadha ne ...



kya tarang hai

kya tarang hai, kya umang hai

more ang ang racha pi ka rang hai

sharm aayi, kaise kahu baat shyaam ki

raadha ne ...



pa liya tujhe, pa liya

pa liya tujhe, paai har khushi

chaahu baar baar chadhoon teri paalki

subah shaam ki ye pyaas bade kaam ki

raadha ne ...