Nainan Mein Barasaat

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

nainan mein barasaat man mein kaajal kaali raat - 2

andhakaar hi andhakaar hai diwas rain ban jaat - 2

nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat



hooooooooooooo

prit karuun ya rit nibhaayuun - 2

man ki sunu ya tan ki

maati ki maala dekhuun ya shobha man madhuban ki

shobha man madhuban ki

(praanon ka hansa vyaakul hai

biraha saha nahin jaat) - 2

nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat



hoooooooooo

ek aur dekhenge naate alakh duusari aur

ankhiyaan chandra chakor bani hai

chanda nand kishore - 2

(ansuan mein zarate angaare

dukh nahin nain samaat) - 2

nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat