Rahega Ishq Tera Kaak

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

rahega ishq tera kaak mein milake mujhe

hue hain ibteda mein ranj inteha ke mujhe



aa, aa bhi ja

raat dhalne lagi, ho, chaand chhupane chala

ho aa, aa bhi ja



teri yaad mein bekabar, shama ki tarah raat bhar-2

jali aarzu dil jalaa, aa, aa bhi ja



sitaaron ne munh pherkar kaha alvida hamsafar -2

chala kaarvaan ab chalaa, aa, aa bhi ja



ufak par khadi hai sahar, andhera hai dil mein idhar -2

wahi roz ka silsilaa, aa, aa bhi ja



raat dhalne lagi, chaand chhupane chala

ho aa, aa bhi ja