Rang Birangi Raakhi

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

rang-birangi raakhi leke aayi bahana

o raakhi bandhava le mere veer -2



chorus: rang-birangi raakhi ... mere veer



main na chaandi, na sone ke naar maangu

chorus: main na chaandi, na bhaiya sone ke naar maangu

apne bhaiya ka thoda sa pyaar maangu

thoda sa pyaar maangu

is raakhi mein pyaar chupa le laayi bahana



chorus: raakhi bandhwaale mere veer



neele ambar se taare utaar laau

chorus: neele ambar se bhaiya taare utaar laau

ya main chanda ki kiranon ke haar laau

kiranon ke haar laau

pyaar ke badle ban le leharaai behna



chorus: raakhi bandhawaale mere veer



kabhi bhaiya ye behna na paas hogi

choruss: kabhi bhaiya ye teri behna na paas hogi

kahi pardes baithi udaas hogi, behna udaas hogi

milne ki aas hogi

jaane kab bichhad jaayen bhai-behna



chorus: raakhi bandhawaale mere veer