Sainya Bina Ghar Suna

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

sainyaan bina ghar suna, suna

sainyaan bina ghar suna

raahi bina jaise suni galiyaan

bin khushabu jaise suni kaliyaan

sainyaan bina ghar suna



suna din kaali ratiya

asuvan se bhigi patiya

har aahat pe dari dari

raah take meri ankhiyaan

chaand bina jaise suni ratiya

phool bina jaise suni bagiya

sainyaan bina ghar suna



andhiyaare baadal chhaaye

kuchh bhi na man ko bhaaye

dekh akeli ghere mujhe

yaadon ke saaye saaye

chaand bina jaise suni ratiya

phool bina jaise suni bagiya

sainyaan bina ghar suna



aansu yuun na bahaao

ye moti na lutaao

rukati nahin hain vaqt ki dhaara

pala pala badale jaga ye saara

chaand bina jaise suni ratiya

phool bina jaise suni bagiya

sainyaan bina ghar suna