Tere Bina Jiya Jaaye Na

Lata Mangeshkar · Other Songs - Lata Mangeshkar

tere bina jiya jaaye na - 2

bin tere tere bin saajana

saans mein saans aaye na

tere bina



jab bhi kayaalon mein tuu aaye

mere badan se kushbuu aaye

mahake badan mein raha na jaaye

raha jaaye na

tere bina



reshami raatein roz na hongi

ye saugaatein roz na hongi

zindagi tujh bin raas na aaye

raas aaye na

tere bina