Dil Ne Kaha Chupke Se

Kavita Krishnamurthy · 1942 Love Story

Director: R.D.Burman
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Kavita Krishnamurthy
Dil ne kaha chupke se...yeh kya hua chupke se
(Kyun naye lag rahe hai yeh dharti gagan
 Maine poocha to boli yeh pagli pawan
 Pyar hua chupke se...yeh kya hua chupke se)-----(2)
Titliyon se suna, titliyon se suna
Maine kissa bagh ka
Bagh mein thi ek kali,sharmili anchui
Ek din mann chala ho bhawra aagaya
Khil uthi woh kali paaya roop naya...
Poochti thi kali ki mujhe kya hua
Phool hasa chupke se,pyar hua chupke se..
Maine badal se kabhi,..ho maine badal se kabhi
Yeh kahani thi suni....
Parbaton ki ek nadi milne sagar se chali
Jhoomti ghumti ho naachti dolti
Kho gayi apne sagar mein jaake nadi
Dekhne pyar ki aisi jaadugari
Chand khila chupke se...pyar hua chupke se
Kyun naye lag rahe hai yeh dharti gagan
Maine poocha to boli yeh pagli pawan
Pyar hua chupke se..yeh kya hua chupke se
Kyun naye lag rahe hai yeh dharti gagan
Maine poocha to boli yeh pagli pawan
Bolo na bolo na bolo na bolo na.....(6)
Bolo na bolo na bolo na bolo na....(4)