Bekharaar Karke Humein

Hemant Kumar · Bees Saal Baad

Director: Hemant Kumar
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singers: Hemant Kumar


[Bekharaar karke humein yun na jaaiye
 Aapko hamari kasam laut aaiye]-- (2)
Dekhiye woh kaali kaali badliyan
Zulf ki ghata churana le kahin
Chori chori aake shokh bijliyan
Aapki adaa churana le kahin
Yun khadam akele na aage badaiye
Aapko hamari kasam laut aaiye
Bekharaar karke humein yun na jaaiye
Aapko hamari kasam laut aaiye
[Dekhiye gulaab ki woh daaliyan
 Badke choom le na aapke khadam]-- (2)
Khoye khoye bhawre bhi hai baagh mein
Koi aapko bana na le sanam
Behki behki nazron se khud ko bachaiye
Bekharaar karke humein yun na jaaiye
Aapko hamari kasam laut aaiye
Zindagi ke raaste ajeeb hai
Inmein is tarah chala na kijiye
Khair hai isi mein aapki huzoor
Apna koi saathi dhoond lijiye
Sunke dil ki baat yun na muskuraiye
Aapko hamari kasam laut aaiye
Bekharaar karke humien yun na jaaiye
Aapko hamari kasam laut aaiye...