Koi Na Koi Chahiye

Vinod Rathod · Deewana

Director: Nadeem-Shravan
Lyricist: Sameer
Singers: Vinod Rathod


--MALE--
Koi na koi chaahiye pyaar karne waala ----- (2)
Koi na koi chaahiye hum pe marne waala
Dil-o-jaan lutaayenge hum to usi par
Saath mein bitaayenge shyaam-o-saher
Shyaam-o-saher o mere yaara
Koi na koi chaahiye pyaar karne waala

--CHORUS--
Pyaar karne waala

--MALE--
Pyaar karne waala
Koi na koi chaahiye hum pe marne waala

--CHORUS--
Hum pe marne waala

--MALE--
Hum pe marne waala

(Us chaand ke tukde ko seene se lagaa loonga
 Us reshmi mukhde ko aankhon mein chhupaa loonga) --- (2)
Deewana mujhsa na milega usko
Is zameen se leke saare aasmaan tak
Koi na koi chaahiye pyaar karne waala
Koi na koi chaahiye hum pe marne waala

--CHORUS--
Hum pe marne waala

--MALE--
Hum pe marne waala

(Na meri koi manzil, na mera hai thikaana
 Maine to yaaron sikha kaanton se dil lagaana) ---- (2)
Ulfat ka main deewana hoon, duniya se main begaana
Baahon mein aasmaan hai, kadmon mein hai zamaana

Koi na koi chaahiye pyaar karne waala
Koi na koi chaahiye hum pe marne waala
Dil-o-jaan lutaayenge hum to usi par
Saath mein bitaayenge shyaam-o-saher
Shyaam-o-saher o mere yaara
Koi na koi chaahiye pyaar karne waala
Koi na koi chaahiye hum pe marne waala

--ALL--
Hum pe marne waala