Are Re Are Yeh Kya Hua

Lata Mangeshkar · Dil To Pagal Hai

Director: Uttam Singh
Lyricist: Anand Bakshi
Singers: Lata Mangeshkar, Udit Narayan


Ha ha ha ha ha............tu ru ru ru ru.
Ha ha ha ha.......tu ru ru ru ru.....
La la la la la la................
Are re are yeh kya hua maine na yeh jaana
Are re are ban jaaye na kahin koi afsaana
Are re are kuch hogaya,koi na pehchana
Are re are banta hai to ban jaaye afsaana
Ha ha ha ha ha....tu ru ru ru ru....
Ha ha ha ha ha....tu ru ru ru .........
Haath mera thaamlo saath jabtak ho
Baat kuch hoti rahein,baat jabtak ho
Saamne baithe raho tum raat jabtak hoooo......
Are re are yeh kya hua maine na yeh jaana
Naam kya de kya kahe,khelte mausam ko
Aag jaise lag gai aaj shabnam ko
Aisa lagta hai kisine chu liya humko

Are re are yeh kya hua maine na yeh jaana
Are re are banjaaye na kahin koi afsaana
Are re are kuch hogaya,koi na pehchaana
Are re are banta hai to banjaaye afsaana
Tum chale jaao zara,hum sambhal jaaye
Dhadkane dil ki kahin na machal jaaye
Waqt se aage kahin na hum nikal jaaye
Are re are yeh kya hua,koi na pehchana
Hum mein tum mein kuch to hai,kuch nahin hai kya
Aur kuch hojaaye to kuch yakeen hai kya
Dekhlo yeh dil jahan tha yeh wahin hai kya.........
Are re are yeh kya hua maine na yeh jaana
Are re are banjaaye na kahin koi afsaana
Are re are kuch hogaya,koi na pehchana
Are re are banta hai to banjaaye afsaana
La la la la la......... la la la........