Humko Tumhare Ishq Ne

Md. Rafi · Ek Musafir Ek Hasina

Director: O.P.Nayyar
Lyricist: Raja Mehndi Ali Khan, S.H.Bihari
Singers: Md. Rafi


Aa Aa Aa Aa...
Humko Tumhaare Ishq Ne Kyaa Kyaa Banaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa
Humko Tumhaare Ishq Ne Kyaa-kyaa Banaa Diyaa

Kaashi Se Kuchh Gharaz Thi Na Qaabe Se Vaastaa
Hum Dhoondhne Chale The Mohabbat Kaa Raastaa..
Dekhaa Tumhaare Dar Ko To Sar Ko Jhukaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

Dil Ki Lagi Ne Kar Diyaa Dono Ko Beqaraar
Dohraa Ke Daastaan-e-mohabbat Phir Ek Baar
Majnu Hamen Aur Aapko Lailaa Banaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

Nikle Teri Talaash Mein Aur Khud Hi Kho Gaye
Kuchh Ban Padi Na Humse To Deevaane Ho Gaye..
Deevaangi Mein Phir Teraa Koochaa Dikhaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

Jalvon Ki Bheekh Phenkne Vaale Ki Khair Ho
Pardaa HaTaake Dekhne Vaale Ki Khair Ho..
Ban Ke Bhikhaari Ishq Ne Daaman Bichhaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa
Humko Tumhaare Ishq Ne Kyaa Kyaa Banaa Diyaa

Aa Aa Aa Aa Aa...