Tujhe Sooraj Kahu

Manna Dey · Ek Phool Do Mali

Director: Ravi Shankar
Lyricist: Prem Dhawan
Singers: Manna Dey


Mm Mm Mm Mm, Mm Mm Mm, Mm Mm Mm - (2)
[Tujhe Sooraj Kahoon Ya Chanda
 Tujhe Deep Kahoon Ya Taara
 Mera Naam Karega Roshan
 Jag Mein Mera Raaj Dulaara]- (2)
Main Kab Se Taras Raha Tha
Mere Aangan Mein Koi Khele
Nanhi Si Hansi Ke Badle
Meri Saari Duniya Le Le
Tere Sang Jhool Raha Hai
Meri Baahon Mein Jag Saara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara

Tujhe Sooraj Kahoon Ya Chanda
Tujhe Deep Kahoon Ya Taara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara
Aaj Ungli Thaamke Teri
Tujhe Main Chalna Sikh Laaoon
Kal Haath Pakadna Mera
Jab Main Buddha Ho Jaaoon
Tu Mila To Maine Paaya
Jeena Ka Naya Sahaara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara

Tujhe Sooraj Kahoon Ya Chanda
Tujhe Deep Kahoon Ya Taara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara
Mere Baad Bhi Is Duniya Mein
Zinda Mera Naam Rahega
Jo Bhi Tujhko Dekhega
Tujhe Mera Laal Kahega
Tere Roop Mein Mil Jaayega
Mujhko Jeevan Do Baara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara
Tujhe Sooraj Kahoon Ya Chanda
Tujhe Deep Kahoon Ya Taara
Mera Naam Karega Roshan
Jag Mein Mera Raaj Dulaara...