Mujhse Mohabbat Ka Izhaar

Alka Yagnik · Hum Hai Rahi Pyaar Ke

Director: Nadeem-Shravan
Lyricist: Sameer
Singers: Alka Yagnik, Kumar Sanu


Mujh se mohabbat ka izhaar karta --- (3)
Kaash koi ladka mujhe pyar karta --- (2)
Mujhse mohabbat ka izhaar karti --- (2)
Kaash koi ladki mujhe pyar karti ---- (2)

[Meri maang mein chaand taare sajaata
 Jo main rooth jaati mujhe wo manaata] --- (2)
Haalat meri wo jaanta, dhadkan meri pehchaanta
Apni bhi chaahat ka ikraar karta --- (2)
Kaash koi ladka mujhe pyar karta --- (2)
Mujhse mohabbat ka izhaar karti --- (2)
Kaash koi ladki mujhe pyar karti --- (2)

[Wo bechain hoti main betaab hota
 Nigaaho mein uski mera khwab hota] --- (2)
Sharmaake wo lagti gale, rakhta use palko tale
Chori chori wo mera didaar karti --- (2)
Kaash koi ladki mujhe pyar karti ---- (2)
Mujhse mohabbat ka izhaar karta ---- (2)
Kaash koi ladka mujhe pyar karta --- (2)