Yuhi Kat Jayega Safar

Alka Yagnik · Hum Hai Rahi Pyaar Ke

Director: Nadeem-Shravan
Lyricist: Sameer
Singers: Alka Yagnik, Kumar Sanu


[Yuhi kat jaayega safar saath chalne se
 Ki manzil aayegi nazar saath chalne se] --- (3)

Hum hain raahi pyar ke, chalna apna kaam -- (2)
Palbhar mein ho jaayegi, har mushkil aasan -- (2)
Housla na haarenge, hum to baazi maarenge -- (2)
Yuhi kat jaayega safar saath chalne se
Ki manzil aayegi nazar saath chalne se

Kehti hain ye waadiya badlega mausam --- (2)
Na koi parvaah hain khushiya ho ya gum --- (2)
Aandhiyon se khelenge dard saare jhelenge -- (2)
[Yuhi kat jaayega safar saath chalne se
 Ki manzil aayegi nazar saath chalne se] -- (4)