Choo Lena Do

Md. Rafi · Kajal

Director: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Singers: Md. Rafi


Choo Laney Do Nazuk Hoonton Ko
Kuch Aur Nahi Hay Jaam Hay Yeh
Qudrat Ne Jo Hum Ko Bakhsha Hay
Wo Sab Se Haseen Inaam Hay Yeh
Choo Laney Do Nazuk Honton Ko..

Sharma Ke Na Youhi Kho Dena Rangeen Jawani Ki Ghadiyan (2)
Betaab Dhadakte Seenoo Ka Armaan Bhara Peghaam Hay Yeh
Choo Laney Do Nazuk Honton Ko

Acchon Ko Bura Sabit Karna Duniya Ki Purani Aadat Hay (2)
Iss May Ko Mubarak Cheez Samajh Mana Kay Bohat Badnaam Hay Yeh

Choo Laney Do Nazuk Hoonton Ko
Kuch Aur Nahi Hay Jaam Hay Yeh
Qudrat Nay Jo Hum Ko Bakhsha Hay
Wo Sab Se Haseen Inaam Hay Yeh
Choo Laney Do Nazuk Honton Ko