Mujhko Rana Ji Maaf Karna

Alka Yagnik · Karan Arjun

Director: Rajesh Roshan
Lyricist: Indivar
Singers: Alka Yagnik, Ila Arun


Gupchup gupchup gupchup
Laamba laamba ghoonghat, kaahe ko daala
Kya kaheen kar aayi tu munh kaala re
Kaanon mein batiyaan karti hain sakhiyaan
Raat kiya re tune kaisa ghotaala

Chhat pe soya tha behnoi, main tanne samajh kar so gayi
Mujhko raana ji maaf karna, galti maare se ho gayi

Wo behnoi tha behnoi thahara
Kyon na pehchaana toone piya ji ka chehra
Behnoi ne odh rakhi thi chaadar
Main samjhi piya ka hai bistar
Aadhe bistar pe vo soya tha, aadhe pe main so gai
mujhko raana ji maaf ...

Deepak ataari pe jalta to hoga
Chhitaki to hogi, chhat pe chandaniya
Apno paraayo nazar na aayo
Bhool kaise ho gai tujhse dulariya

Bhool hui mujhse to kaisa achambha
Behnoi tha piya jitana lamba
Choor thi main din bhar ki thakan se
Padte hi bistar pe so gai
Mujhko raana ji maaf ...

Soch rahe the hum sab jaisa
Toone kiya nahi kuch vaisa
Mukhde pe tere sach ka ujaala
Raat kiya nahi munh toone kaala........