Hai Duniya Usiki

Md. Rafi · Kashmir Ki Kali

Director: O.P.Nayyar
Lyricist: S.H.Bihari
Singers: Md. Rafi


Hai Duniyaan Usike Zamaanaa Usika
Mohabbat Mein Jo Ho Gayaa Ho Kisee Kaa

Lootaa Jo Musaafir, Dil Ke Safar Mein
Hai Jannat Ye Duniyaan Uski Nazar Mein
Usee Ne Hain Lootaa Mazaa Zindagee Kaa

Hai Sajade Ke Kabil Har Wo Deewaanaa
Ke Jo Ban Gayaa Hain Tasweer-ye-jaanaa
Karo Ehtaraam Uski Diwaanagee Kaa

Barbaad Honaa Jiski Adaa Ho
Dard-ye-mohabbat Jiski Dawaan Ho
Sataayegaa Kyaa Gam Use Zindagi Kaa