Na Jaao Saiyyan Chuda Ke Baiyyan

Geeta Dutt · Sahib Bibi Aur Ghulam

Director: Hemant Mukherjee
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singers: Geeta Dutt


N Jaao Saiyyaa, Chhudaa Ke Baiyyaa
Kasam Tumhaaree Main Ro Padoongee
Machal Rahaa Hain Suhaag Meraa
Jo Tum Naa Honge, To Kyaa Karungee

Ye Bikharee Zulfe, Ye Khiltaa Gajaraa
Ye Mahakee Chunaree, Ye Man Kee Madeeraa
Ye Sab Tumhaare Liye Hain Preetam
Mai Aaj Tum Ko Naa Jaane Doongee, Jaane Naa Doongee

Mai Tumharee Daasee, Janam Kee Pyaasee
Tum Hee Ho Meraa Singaar Preetam
Tumhaare Raste Kee Dhool Le Kar
Mai Maang Apnee Sadaa Bharungee, Sadaa Bharungee

Jo Mujh Se Aakhiyaan Churaa Rahe Ho
To Meree Itnee Arz Bhee Sun Lo
Tumhaare Charnon Mein Aa Gayee Hoo
Yahee Jioongee, Yahee Marungee, Yahee Marungee....