Na Mumkin Hai Tum Bin Ji Paana

Himesh Reshammiya · Shakalaka Boom Boom

Director: Himesh Reshammiya
Lyricist: Sameer
Singers: Himesh Reshammiya


Teri yaadon ko ji rahaa hoon
Har lamha har ek pal mein
Tera ehsaas mehsoos karta hoon
Suni dhadkan ki halchal mein

Abb ja ke maine jaana --- (2)
Naamumkin hai tum bin ji paana -- (2)
Dard-e-dil ka fasaana, mushkil hai chhupaana --- (2)
Abb ja ke maine jaana
Naamumkin hai tum bin ji paana ---- (2)

Teri yaadon ka samundar hai tadapte dil ke andar
Dur tak meri nazar mein, hai tere khwaabon ke manzar
Har ghadi saanson mein abb toh, chhub rahe chaahat ke khanjar
Naamumkin hai tum bin ji paana
Abb ja ke maine jaana
Naamumkin hai tum bin ji paana --- (2)

(Naamumkin hai - 3), Tum bin ji paana
Toot te rishton ke dhaage, chutate khushiyon ke saaye
Kyun gire aankhon se aansu, koyi bhi na jaan paaye
Haadase aise huye ki ban gaye apane paraaye
Naamumkin hai tum bin ji paana
Abb ja ke maine jaana
Naamumkin hai tum bin ji paana --- (4)
Abb ja ke