Haan Jab Tak Hai

Lata Mangeshkar · Sholay

Director: R.D.Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Singers: Lata Mangeshkar


Oh, Oh Oh Oh, Oh Oh Oh Oh
Haan, Jab Tak Hai Jaan Jaane Jahan
Main Naachoongi - 4
Pyaar Kabhi Bhi Marta Nahin
Maut Se Bhi Yeh Darrta Nahin - 2
Lut Jaayenge, Mit Jaayenge, Mar Jaayenge Hum
Zinda Rahegi Hamaari Daastaan
O Haan, Jab Tak Hai Jaan Jaane Jahan
Main Naachoongi

Toot Jaaye Paayal To Kya
Paaon Ho Jaaye Ghaayal To Kya - 2

Dil Diya Hai Dil Liya Hai, Pyaar Kiya Hai To
Dena Padega Mohabbat Ka Imtehaan
O Haan Jab Tak Hai Jaan Jaane Jahan
Main Naachoongi - 4

Yeh Nazar Jhuk Sakti Nahin
Yeh Zubaan Ruk Sakti Nahin - 2

Main Kahoongi Gham Sahoongi Chup Rahoongi Kya
Bebas Hoon Lekin Nahin Main Bezubaan
O Haan Jab Tak Hai Jaan Jaane Jahan
Main Naachoongi
Haan Jab Tak Hai Jaan Jaane Jahan
Main Naachoongi - 5