Main Kya Karoon

Alka Yagnik · Wajood

Director: Anu Malik
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Alka Yagnik


Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
Ho, main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
Prem deewaani hoon, par main anjaani hoon
Uljhi hai jo dori voh main kaise suljhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon

[Main chali thi sapnon ke rath mein
 Phir chalte chalte mujhe mann ke path mein
 Yeh doraah kaisa mila
 Ek aur sab reet rasmein
 Aur ek aur chaahat ki kasmein
 Ab kya main kahoon kya mila] --- (2)
Ek aur jeevan hai, ek aur saajan hai
Meri ab jo uljhan hai voh kaise samjhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon

[Mat bhool jaa ke tu afsaara hai
 Tujhko anant jeevan mila hai
 Mujhe logon se sunna pada
 Par kya karoongi yug yug mein jeeke
 Preetam ke sang ek pal jo beete
 Voh pal hai yugon se bada] --- (2)
Todke har bandhan, chhodke har aangan
Mann kahe har pal pi ke sang main bitaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon

Prem deewaani hoon, par main anjaani hoon
Uljhi hai jo dori voh main kaise suljhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon