Bolo Na Tum Zara

Shreya Ghoshal, Sonu Nigam · Other Songs - Shreya Ghoshal, Sonu Nigam

Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala

Chherta hai yeh aasmaan, mausam lage aaj manchala

Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala

Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala



Pyaar ki roshni jismon mein ghul gayi

Pyaar ki aas mein rooh yeh dhul gayi

Rog chalne laga, dil ka yeh kaafila



Sarsaraati huwi hawa youn baadiyon mein hai beh rahi

Pyaar ki hi kahaaniyan kaanon mein hole se keh rahi



Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala



Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya



Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala



Pyaar yeh subh ki makhmali dhoop hai

Pyaar yeh shaam ko saawala roop hai

Yeh jadoo hai kya, jo hai humpe huwa



Pyaar paaya to zindagi ek pal mein jaise badal gayi

Rang ujhle hai raagini naye sur mein jaise hai dhal gayi



Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala

Bolo na tum zara, (bolo na tum zara)

Pyaar yeh hota hai kya, (pyaar yeh hota hai kya)

Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala