Andhi Qismat Kise Le Chalegi Kahaan

Sanskaar Movie · Other Songs - Sanskaar Movie

andhi qismat kise le chalegi kahaan, haay koi jaane naa

gam ke haathon kise bech degi kahaan haay koi jaane naa

(haay koi jaane naa, kis ghadi gher le, gam ki kaali badali) - 2

is ke sar jaane kab ghat ? pade aasamaan, haaye koi jaane naa



(bachake chalate hain sab zindagi ki dagar, phir bhi mushkil hai kyon) - 2

aake manzil pe kyon lut gaye kaaravaan haay koi jaane naa



(hai ye kis kaa chaman jis men kaliyon ko khilane kaa haq bhi nahin) - 2

hai vo ? yaa naasamajh baaghbaan haay koi jaane naa

andhi qismat kise le chalegi kahaan, haay koi jaane naa