Duniya Ka Maza Le Lo

Bahaar-1951 Movie · Other Songs - Bahaar-1951 Movie

Song By SHAMSHAD BEGUM

duniya ka maza lelo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhari -2

duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhaari hai -2

duniya ka mazaaaa leeee loooo



duniya ko laat maaro, duniya salaam kare

duniya ko laat maaro duniya salaam kare

mud mud salaam kare, jhuk jhuk salaam kare,bik bik salaam kare

kabhi namaste ji to, kabhi raam raam kare -2

duniya ke baap ho tum

duniya ke baap ho tum, duniya tumhaari hai, yeh duniyaa tumhaari hai

duniya ka mazaaaa leeee loooo



duniya se daro ge to, duniya dabaayegi -2

aankhen dikhaayegi, rob jamaayegi

e ji hansi udaayegi

chain na lene degi, jaan jalaayegi-2

taan ke seena chalo

taan ke seena chalo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhaari hai

duniya ka mazaaaa leeee loooo



duniya ke jitane nazaaren hai, tumhaare hai -2

yeh phool tumhaare hai, yeh taare tumhaare hai

chanda tumhaara hai, chandaniyaan tumhaari hai -2

duniya ka mazaaaa leeee loooo



duniya ka maza lelo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhari -2



Posted by: p u r n i m a