|
[ More Amitabh Bachan lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Amitabh Bachan
Lyrics for Song: Main Yahan Tu Wahan
Lyrics for Album: Baghban
10134>Director: Aadesh Shrivastava Lyricist: Sameer Singers: Amitabh Bachan,Alka Yagnik
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan.......(2) Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan Neend aati nahin,yaad jaati nahin....(2) Bin tere ab jeeye jaaye na Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan Waqt jaise theher gayaa hai yahin,har taraf ek ajab udaasi hai Beqaraari ka aisa aalam hai jism tanha hai rooh pyaasi hai
Teri surat ab ek pal kyun nazar se hatthi nahin Raat din to kat jaate hai umr tanha katthi nahin Chaahke bhi na kuch keh sakoo tujhse mai.....(2) Dard kaise karu mai bayaan Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan
Jab kahin bhi aahat hui yun lagaa ki tu aagaya Khushboo ke jhoonke ki tarah meri saansein mehka gaya Ek woh din the hum sadaa paas the....(2) Ab to hai faasle darmiyan Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahan Hmmm........
Beeti baatein yaad aati hai jab akela hota hoon mai Bolti hai khaamoshiyan sabse chupke rota hoon mai Ek arsaa hua muskuraaye hue.....(2) Aansuon mein dhali daastan Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan Neend aati nahin yaad jaati nahin...(2) Bin tere ab jiye jaaye na...
10134> |
| |
|