|
|
| [ More Lata Mangeshkar lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Lata Mangeshkar
Lyrics for Song: Na Koi Umang Hai
Lyrics for Album: Kati Patang
Director: R.D.Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Singers: Lata Mangeshkar
Na koi umang hai, na koi tarang hai
Meri zindagi hai kya, ek kati patang hai -- (2)
Na koi umang hai...
Aakash se giri mein, ek baar katke aise -- (2)
Duniya ne phir na pooche - (2) Loota hai mujhko kaise
Na kisi ka saath hai, na kisi ka sang hai,
Meri zindagi hai kya ek kati patang hai..
Lagke gale se apne baabul ke main na roi -- (2)
Doli uthi yun jaise - (2) Arthi uthi ho koi
Yehi dukh to aaj mere ang sang hai
Meri zindagi kya hai, ek kati patang hai
Sapnon ke devta kya tujhko karu main arpan - (2)
Patjhad ki main hu chaya - (2) Main aansuon ka darpan
Yehi mera roop hai, yehi mera rang hai
Meri zindagi hai kya, ek kati patang hai
Na koi umang hai.....
|
| |
|