|
|
| [ More Md. Rafi lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Md. Rafi
Lyrics for Song: Zindabad Zindabad
Lyrics for Album: Mughal-E-Azam
Director: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Singers: Md. Rafi
Zindaabaad! zindaabaad! (ai mohabbat zindaabaad! -2)
Zindaabaad! zindaabaad! (ai mohabbat zindaabaad! -2)
[daulat ki zanjeeron se tu -2] rahati hai aazaad
Zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2)
Mandir mein masjid mein tu aur tu hi hai eemaanon mein
Murali ki taanon mein tu aur tu hi hai aazaanon mein
Tere dam se deen-dharam ki duniya hai aabaad
Zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2)
Pyaar ki aandhi ruk na sakegi nafarat ki deevaaron se
Khoon-e-muhabbat ho na sakega kanjar se talavaron se
Mar jaate hain aashiq zinda rah jaati hai yaad
Zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2)
Chorus: aa aa aa
Ishq bagaawat kar baithe to duniya ka ruk mod de
Aag laga de mahalon mein aur takt-e-shaahi chhod de
Seena taane maut se khele kuch na kare fariyaad
Rafi, Chorus:
Zindaabaad! zindaabaad! -2 (ai muhabbat zindaabaad! -2)
Chorus: aa aa aaa
Taaj hukuumat jiska mazhab phir uska eemaan kahaan - (2)
Jiske dil mein pyaar na ho, wo paththar hai insaan kahaan - (2)
Pyaar ke dushman hosh men, a ho jaayega barabaad!
Rafi, Chorus:
Zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2)
Rafi: zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad
Chorus: zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad!
|
|
| Album Lyrics: Mughal-E-Azam |
 Md. Rafi
"Mughal-E-Azam"
|
| | | |
|