|
|
| [ More Kumar Sanu lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Kumar Sanu
Lyrics for Song: Kal Jisne Janam Yahan Paaya
Lyrics for Album: Vivah
Director: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain
Singers: Kumar Sanu
Kal jisne janam yahaa paaya kal jisko jhule ne jhulaya --- (2)
Nazdik sulaaya, godi mein uthaaya
Kaandhe pe ghumaaya, jise chalana sikhaaya
Kyaa ye wohi ladka hai --- (4)
Kal tak jo nanhi si lali thi, komal si juhi ki kali thi --- (2)
Wo totali boli, are kitni bhali thi
Wo jiski simaa bas ghar se gali thi
Kyaa ye wohi ladki hai --- (4)
Prep se lekar primary tak, primary se phir dasvi tak
School mein choda school se laya
Barso maine ye niyam nibhaaya
Is ghar mein bholu jo kehlata tha
Teacher se bhi jo sharmata tha
Dekh aapki ladki ko dil jiska dhadka hai
Jiske jawaa sine mein aaj ek shola bhadka hai
Kyaa ye wohi chhutka hai
Kyaa ye wohi ladka hai
Haa ye wohi chhutka hai
Haa ye wohi ladka hai
Titliyon ke piche jo dauda karti thi
Pariyon ke chitron mein rang bharti thi
Kab ye kali se phool ban gayi
Prem si jodi prem ki dori
Kab main bhudha hua na jana
Jane kab ye ho gayi kishori
Gudiyon ki shaadi kal jisne rachaayi
Honewaali hai kal jiski bidaayi
Milke jise mere shehzade ki tabiyat fadki hai
Milake jise chote sahab ki tabiyat fadki hai
Kyaa ye wohi ladki hai --- (2)
Haa ye wohi ladki hai
Bahu aapke ghar ki hai
Chunaa ek duje ko tumne, lakhon mein karodon mein
Jodaa amar ho tumhara, pyaar bhare jodon mein
Mausam aaye, mausam jaaye, tumhara jeevan aur sajaaye
Samay ki dharaa mein hum to beh jaayenge
Hamaare bol tumhaare sang reh jaayenge
Woh maryaadaye, woh paramparaye jo humne nibhaayi
Woh ye bhi nibhaaye bas yahi kehna hai
Bas yahi kehna hai --- (3)
|
| |
|