Artist/Band:
Shreya Ghoshal
Lyrics for Song: Do Anjaane Ajnabi
Lyrics for Album: Vivah
Director: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain
Singers: Shreya Ghoshal, Udit Narayan
Do anjaane ajnabi chale bandhane bandhan
Haay re dil mein hai ye uljhan
Milkar kyaa bole, kyaa bole, kyaa bole, re milkar kyaa bole
Nayi umang, nayi khushi mehak uthaa hai aangan
Haay re ghar aaye man bhaavan
Milkar kyaa bole, kyaa bole, kyaa bole re milkar kyaa bole
Bechaini betaabi aaj mujhe ye kaisi
Aaj hai jo pehle na thi dil ki haalat aisi
Aankhon ko usika intezaar hai
Unhi ke liye ye roop shringaar hai
Dekhi hai tasveer hi aaj milenge darshan
Haay re badh ne lagi hai uljhan
Milkar kyaa bole, kyaa bole, kyaa bole re milkar kyaa bole
Roop ki raani aayi hai jaise gagan se utar ke
Mere liye kyaa mere liye aise sajke savarke
Sabse chupaake idhar udhar se mujhko hi dekhe chor nazar se
Baat labon par hai ruki tez dilon ki dhadkan
Haay re kal ke sajni saajan
Milkar kyaa bole, kyaa bole, kyaa bole re milkar kyaa bole
|