|
|
| [ More Lata Mangeshkar lyrics ] |
add to playlist
see a mistake?
comment
|
|
Artist/Band:
Lata Mangeshkar
Lyrics for Song: Yeh Hum Aagaye
Lyrics for Album: Veer Zaara
Director: Sanjeev Kohli
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Lehraati hui raahein, khule hue hai baahein
Yeh hum aagaye hai kahaan
Palkhon ke gehre halke,hai roshni dhundalke
Yeh hum aagaye hai kahaan...
Aaaa......Yeh hum aagaye hai kahan
Woh dekho zara parbaton pe ghataayein
Hamari daastan holle se sunaaye
Suno to zaraa,yeh phoolon ki waadi
Hamari hi koi kahani hai sunati
Sapnon ki is nagar mein yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aagaye hai kahan
Haan.... Yeh hum aagaye hai kahan
Jo raahon mein hai rut ne sona bikhere
Sunera hua tera mera savera
Zameen sogai hai barf ki chaadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein
Hawaayein sansanaayein,badan kaanp jaye
Yeh hum aagaye hai kahan
Haan.. Yeh hum aagaye hai kahan....
Yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane
Tumhe milgaye pyaar ke sau bahaane
Sitaaron ki hai jaise baaraat aayi
Hamare liye raat yun daghmagai
Sapne bhi jhil milaayein
Dil mein diya jalaaye
Yeh hum aagaye hai kahan....
Haan... Yeh hum aagaye hai kahan
Haan.. Yeh hum aagaye hai kahan
|
| |
|