Artist/Band:
Lata Mangeshkar
Lyrics for Song: Kyun Hawa [duplicate]
Lyrics for Album: Veer Zaara
Director: Sanjeev Kohli
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Lata Mangeshkar, Sonu Nigam
Wordings by Yash Chopra:
Ek din jab savere savere,surmaayi se andher ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se,sooraj ne sar jo uthaaya,toh dekhe
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beetein lamhon ki kaliyaan mehekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo,aadhi sooyi hui,aadhi jaagi hui
Aaankhen malte hue dekhti hai,leher dar leher
Mauj dar mauj,behti huwi zindagi
Jaise har ek pal nayi,aur phir bhi wahi,haan,wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai,koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai door jaana bhi hai aur yeh ehsaas hai
Waqt jharne se behta hua,ja raha hai,yeh kehta hua
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par anginat beete lamhon ki kaliyan,
Mehekne lagi hai.........
Lata:
Aaaaaa....haa...hoho....aa..haa..ho..ho..hmmmm..hmm...
Sonu:
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai.....(2)
Kyun fiza rang jhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandnidin mein kyun chaa rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bataa kya hai yeh silsila
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Gaa rahi hai... Gaa rahi hai...
Lata:
Ha ha ha..... aaa.....hmm.....aa.....ha..haa.....
Sonu:
Jahan tak bhi jaaye nigahein,barastein hai jaise ujaale...(2)
Saji aaj kyun hai yeh raahein,khile phool kyun hai niraale
Khushbuwein kaisi yeh beh rahi hai
Dhadkane jaane kya keh rahi hai
Mere dil bataa yeh kahani hai kya
Kyun hawaa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai... Gaa rahi hai
Lata:
Aaa...... aaa.......
Sonu:
Yeh kiska hai chehra jise mai har ek phool mein dekhta hoon....(2)
Yeh kiski hai awaaz jisko,na sunke bhi main sun raha hoon
Kaise yeh aahate aa rahi hai
Kaise yeh khwaab dikhla rahi hai
Mere dil bataa kaun hai aa raha
Kyun hawaa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai....Gaa rahi hai
Lata:
Aaaaa.........aaa.............aaaaa...........aa...
|